Текст песни Mohammed Rafi — Nanhe Munne Bachche Teri Mutthi Mein

image_pdfimage_print

Nanhe munne bacche teri muthi mein kya hai
Muthi mein hai taqdeer humari
Muthi mein hai taqdeer humari
Humne kismat ko bas mein kiya hai

Bholi bhaali matwaali aankho mein kya hai
Aankhon mein jhoome umeedon ki diwali
Aankhon mein jhoome umeedon ki diwali
Aane wali duniya ka sapna saja hai

Nanhe munne bacche teri muthi mein kya hai

Bheek mein jo moti milega loge ya na loge
Zindagi ke aansuyon ka bolo kya karoge

Bheek mein jo moti mile to bhi hum na lenge
Zindagi ke aansuyon ki mala pehne ge
Mushkilon se ladhte phirte jeene mein maza hai

Nanhe munne bacche teri muthi mein kya hai.

Humse na chhuhpaayo baccho humein to bataayo
Aane wali duniya kaisi hogi samjhaayo
Aane wali duniya mein sab ke sar pe taj hoga
Na bhookon ki bheedh hogi
Na dukhon ka raj hoga
Badle ga zamana yeh sitaaron pe likha hai
Nanhne munne bacche teri muthi mein kya hai…

Оцените текст
( Пока оценок нет )

На данной странице вы найдете слова и текст песни Mohammed Rafi — Nanhe Munne Bachche Teri Mutthi Mein. Здесь можно прочитать, а также скачать текст песни и распечатать его.

Поделитесь с друзьями
text-pesen.ru